Monday, December 12, 2005

Pushtimargiya Updesh

Pushtimargiya Updesh:
Jai Shri Krishna,

These guidelines are from "Pushtimargiya Updesh" in hindi:
  1. Shri Mahaprabhuji evam unke vanskajo mein sakshat Bhagwan ki hi buddhi rakhni chahiye.
  2. Jagat shuddha Brahm-swaroop hota hua bhi maya se shuddha-braham-swaroop nahi dikhta.
  3. Bhagwan ka samanya anugrah ho to laukik phal milta hai Aur vishesh anugrah ho jaay to laukik-alaukik sabhi phal milte hai, aur bhagwan suke vash me ho jaate hai.
  4. Bhagwadiya ke ashraya se tatha nirantar bhagvan-naam lene se heena-ti-heen bhi suddha ho jate hai.
  5. Bhagwan se hi anand milta hai parantu manav stree putra-adi mein anand samajta hai. Uska yah karya usi prakarka hai jaise pyaas shaanti karne ki icchha vaala ganga-jal ko chhod kar mrgtrushna ki aur daudta hai.
  6. Jo paapi hai uska bhagwan me evam bhagvat-katha me vishvas nahi hota.
  7. Bhagvan ki prasaadi vastu lene se evan sharanaagati se maya ka moha door hota hai.
  8. Jo apne vachano dvara prabhu me bhaav badhaye unhi ka sang karna chahiye.
  9. Prabhu ke hraday me na rahne par jeev ki durbuddhi hoti hai.
  10. Bhakti-roop amrut peene vaale ka kaal-roop sarp kuch nahi bigaad sakta hai.
  11. Dukh aave to yahi vichar kare ki muj se koi dosh ban gaya hai uska yah phal hai prabhu ka isme koi dosh nahi hai.
  12. Prabhu ke sammukh aprasann hokar kabhi nahi jaana chahiye kyoki anand roop prabhu aprasann ko dekhkar udasin ho jaate hai.
  13. Laukik vaidik karya lok sangrah-arth kare parantu unme aasakti na rakhe. Aasakti to keval Bhagvan ke charn-kamalo me hi rakhe.
  14. Pushtimargiya acharya-kul dvara atma-nivedan karne vale se hi pushti seva karave.
  15. Prabhu-ke sharan ki bhavna sada kare. Sharan bhavna se sharavan kirtan aadi ka phal milta hai aur nirbhay ho jaata hai.
  16. Bhagvat-seva ko apna dharm samaj kar deenta se kare prashansa ka vichar na rakhe.
  17. Shri Thakur-ji ke swaroop me sakshaat Shri Krushna ki hi Bhavna kare.
  18. Jahan tak ho sake Bhagvat-seva svayam kare. yadi seva me vilambh hota ho to prabhu ko shram na ho iske liye anya ki bhi sahayta le.
  19. Bhagvan ke praktya evam prasannta ke karan deenta evam SruDrdha-sneha hi hai.
  20. Deh evam man aadi bhagvat-seva, katha naamsmaran me lage rahe to daivi jeev samajna chaiye.
  21. Ekagrachit hokar Bhagvatseva kare.
  22. Ashtakshar ka aharnish jap karta rahe.
  23. Jiska chitt Bhagvat-seva me na lagkar laukik-avesh yukt hi rahe uska sang kabhi bhi nahi karna chahiye.
  24. Unke dukho ko aane-par bhi vikal nahi hona chahiye kintu vaisi stithi me bhagvan ka hi dhrdha ashray rakhna chiye.
  25. Prabhu sambandhi karya ho to prasann rahe aur bhagvat-seva smaran na bane to dukhanu-bhav kare.
  26. Mahatmya-Gnan dvara apne me bhakti badhne ke liye bhagvan bhakta ko kadachit dukh bhi dete hai.

No comments: